bagh-e-urdu ki mahak raaz-e-KHuda hoti hai
bāġh-e-urdu kī mahak rāz-e-ḳhudā hotī hai
shahr-e-urdu meñ havā bād-e-sabā hotī hai
achchhā jitnā bhī ho lahja vo sadā hotī hai
baat kar le jo suḳhan-gar to judā hotī hai
harf milte haiñ jo dil se to nidā aatī hai
mā'nī lafzoñ se mileñ to vo ridā hotī hai
she'r paḌhne pe yuñhī daad nahīñ miltī unheñ
urdu to shīrīñ-dahan par hī fidā hotī hai
sunñe vāloñ ko kisī aur nagar le jaa.e
urdu vāloñ kī zabāñ rab kī 'atā hotī hai
lahja mil jaa.e jo urdu se to vo naaz kare
urdu lahje se mile to vo adā hotī hai
ḳhushbū urdu kī nazar aatī hai dil vāloñ meñ
khanak urdu kī to bolī meñ sadā hotī hai
bagh-e-urdu ki mahak raaz-e-KHuda hoti hai
shahr-e-urdu mein hawa baad-e-saba hoti hai
achchha jitna bhi ho lahja wo sada hoti hai
baat kar le jo suKHan-gar to juda hoti hai
harf milte hain jo dil se to nida aati hai
ma'ni lafzon se milen to wo rida hoti hai
she'r paDhne pe yunhi dad nahin milti unhen
urdu to shirin-dahan par hi fida hoti hai
sunne walon ko kisi aur nagar le jae
urdu walon ki zaban rab ki 'ata hoti hai
lahja mil jae jo urdu se to wo naz kare
urdu lahje se mile to wo ada hoti hai
KHushbu urdu ki nazar aati hai dil walon mein
khanak urdu ki to boli mein sada hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.