bagh hai bagh ki faza gum hai
baaġh hai baaġh kī fazā gum hai
saañs lene ko bhī havā gum hai
Thair jaa.eñ to hai maqām-e-fanā
chal paḌeñ ham to rāsta gum hai
ham bhī maujūd haiñ yahāñ tum bhī
rābta darmiyān kā gum hai
be-yaqīnī hai sab ke zehnoñ meñ
kyā mayassar hai aur kyā gum hai
besha-e-zīst se guzarne ko
hausla thā so hausla gum hai
ye sitāra inhī ḳhalāoñ meñ
ek din tum bhī dekhnā gum hai
bagh hai bagh ki faza gum hai
sans lene ko bhi hawa gum hai
Thair jaen to hai maqam-e-fana
chal paDen hum to rasta gum hai
hum bhi maujud hain yahan tum bhi
rabta darmiyan ka gum hai
be-yaqini hai sab ke zehnon mein
kya mayassar hai aur kya gum hai
besha-e-zist se guzarne ko
hausla tha so hausla gum hai
ye sitara inhi KHalaon mein
ek din tum bhi dekhna gum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.