bagh ek din ka hai so raat nahin aane ki
baaġh ik din kā hai so raat nahīñ aane kī
vo parī phir se mire haat nahīñ aane kī
ab vo laḌkī nahīñ aane kī mire college meñ
ab ke multān se sauġhāt nahīñ aane kī
tum chalī jaao ye patthar nahīñ pahle jaisā
aañkh se jū-e-munājāt nahīñ aane kī
ab jo ye vasl hai is vasl ko be-kār samajh
ham pe rañgīnī-e-hālāt nahīñ aane kī
dekh lo khol ke khiḌkī ki zarā der haiñ ham
dūsrī baar ye bārāt nahīñ aane kī
ab tire ba.ad faqat aab hī utregā yahāñ
ab ke barsāt meñ barsāt nahīñ aane kī
bagh ek din ka hai so raat nahin aane ki
wo pari phir se mere hat nahin aane ki
ab wo laDki nahin aane ki mere college mein
ab ke multan se saughat nahin aane ki
tum chali jao ye patthar nahin pahle jaisa
aankh se ju-e-munajat nahin aane ki
ab jo ye wasl hai is wasl ko be-kar samajh
hum pe rangini-e-haalat nahin aane ki
dekh lo khol ke khiDki ki zara der hain hum
dusri bar ye baraat nahin aane ki
ab tere baad faqat aab hi utrega yahan
ab ke barsat mein barsat nahin aane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.