bagh mein aamad-e-bahaar hai aaj
bagh mein aamad-e-bahaar hai aaj
Meer Muzaffar Husain Zameer
MORE BYMeer Muzaffar Husain Zameer
baaġh meñ āmad-e-bahār hai aaj
chashm-e-nargis ko intizār hai aaj
pā-ba-zanjīr mauj aise kahūñ
baaġh meñ sarv-e-jū-e-bār hai aaj
aa.egā kyā koī sanobar-qad
qumriyoñ kā magar shikār hai aaj
nighat-e-gul huī hai muzhda-rasāñ
baad ke ghoḌe par savār hai aaj
vasf kis kā kiyā thā bulbul ne
gul jo us ke gale kā haar hai aaj
sang-barsar-zanāñ ye kis ke liye
kaho gulshan meñ ābshār hai aaj
ḳhanda-e-gul ko dekh kar bulbul
hama-tan nāla-hā-e-zār hai aaj
kahā bād-e-sabā ne ai nādāñ
sīna-e-dushmanāñ figār hai aaj
shāh-e-duldul-savār aatā hai
tā falak nuur kā ġhubār hai aaj
kahā maiñ ne ki ye suḳhan terā
muzhda-e-jān be-qarār hai aaj
habbazā marhabā sharāb-e-tahūr
sāqiyā ruḳhsat-e-ḳhumār hai aaj
fart-e-shauq-e-jamāl-e-yār ke haath
dāman-e-sabr tār-tār hai aaj
aa.iye ai 'zamīr' matlab par
yaañ se manzūr iḳhtisār hai aaj
bagh mein aamad-e-bahaar hai aaj
chashm-e-nargis ko intizar hai aaj
pa-ba-zanjir mauj aise kahun
bagh mein sarw-e-ju-e-bar hai aaj
aaega kya koi sanobar-qad
qumriyon ka magar shikar hai aaj
nighat-e-gul hui hai muzhda-rasan
baad ke ghoDe par sawar hai aaj
wasf kis ka kiya tha bulbul ne
gul jo us ke gale ka haar hai aaj
sang-barsar-zanan ye kis ke liye
kaho gulshan mein aabshaar hai aaj
KHanda-e-gul ko dekh kar bulbul
hama-tan nala-ha-e-zar hai aaj
kaha baad-e-saba ne ai nadan
sina-e-dushmanan figar hai aaj
shah-e-duldul-sawar aata hai
ta falak nur ka ghubar hai aaj
kaha main ne ki ye suKHan tera
muzhda-e-jaan be-qarar hai aaj
habbaza marhaba sharab-e-tahur
saqiya ruKHsat-e-KHumar hai aaj
fart-e-shauq-e-jamal-e-yar ke hath
daman-e-sabr tar-tar hai aaj
aaiye ai 'zamir' matlab par
yan se manzur iKHtisar hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.