baaġh meñ jugnū chamakte haiñ jo pyāre raat ko
yaad aate haiñ un āñkhoñ ke ishāre raat ko
shub.h hai tum ko kahāñ TuuTe haiñ taare raat ko
dam-ba-dam aañsū Tapakte the hamāre raat ko
TuuTe taare saikḌoñ yuuñ qudsiyoñ ke dil hile
dard se jis vaqt ham tum ko pukāre raat ko
puurī gardish āsmāñ ne shaam se kī tā-sahar
aaj maiñ ne gin liye saare sitāre raat ko
dhuup niklī din ko chehre se haTā lī jab naqāb
chāñdnī phailī jahāñ kapḌe utāre raat ko
saaf karvaT lene kī āvāz aa.ī kaan meñ
sū-e-dil jab jhuk ke ham tum ko pukāre raat ko
zarroñ ko shābāsh din ko haiñ huzūr-e-mahr-e-ruḳh
dekhiye chhup ke nikalte haiñ sitāre raat ko
hijr kī muddat na hogī ḳhatm sābit ho chukā
din ko zarre gin chukā maiñ aur taare raat ko
ulfat-e-ruḳh meñ hai vahshat yād-e-gesū meñ bukā
din ko sahrā meñ haiñ dariyā ke kināre raat ko
aa ga.ī sub.h-e-qayāmat aur maiñ soyā nahīñ
phir na aa.ī niiñd tum jab se sidhāre raat ko
dil jigar lene phir aa.e sub.h ko kahte hue
rah ga.e bistar pe do motī hamāre raat ko
muñh pe zulf-e-zar-fishāñ hai mujh se hai rone kā hukm
chāñdnī dekhī hai dariyā ke kināre raat ko
aap ārā.ish bhī karte haiñ muāfiq vaqt ke
din ko muñh dhoyā gayā gesū sañvāre raat ko
DhūñDhte phirte haiñ dil ko sub.h se har-sū 'rashīd'
dil-rubā thā ek pahlū meñ hamāre raat ko
bagh mein jugnu chamakte hain jo pyare raat ko
yaad aate hain un aankhon ke ishaare raat ko
shubh hai tum ko kahan TuTe hain tare raat ko
dam-ba-dam aansu Tapakte the hamare raat ko
TuTe tare saikDon yun qudsiyon ke dil hile
dard se jis waqt hum tum ko pukare raat ko
puri gardish aasman ne sham se ki ta-sahar
aaj main ne gin liye sare sitare raat ko
dhup nikli din ko chehre se haTa li jab naqab
chandni phaili jahan kapDe utare raat ko
saf karwaT lene ki aawaz aai kan mein
su-e-dil jab jhuk ke hum tum ko pukare raat ko
zarron ko shabash din ko hain huzur-e-mahr-e-ruKH
dekhiye chhup ke nikalte hain sitare raat ko
hijr ki muddat na hogi KHatm sabit ho chuka
din ko zarre gin chuka main aur tare raat ko
ulfat-e-ruKH mein hai wahshat yaad-e-gesu mein buka
din ko sahra mein hain dariya ke kinare raat ko
aa gai subh-e-qayamat aur main soya nahin
phir na aai nind tum jab se sidhaare raat ko
dil jigar lene phir aae subh ko kahte hue
rah gae bistar pe do moti hamare raat ko
munh pe zulf-e-zar-fishan hai mujh se hai rone ka hukm
chandni dekhi hai dariya ke kinare raat ko
aap aaraish bhi karte hain muafiq waqt ke
din ko munh dhoya gaya gesu sanware raat ko
DhunDhte phirte hain dil ko subh se har-su 'rashid'
dil-ruba tha ek pahlu mein hamare raat ko
Source :
Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-64 page-66)
Author : Piyare Sahab Rasheed
Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.