bagh pa kar KHafaqani ye Daraata hai mujhe
baaġh pā kar ḳhafaqānī ye Darātā hai mujhe
sāya-e-shāḳh-e-gul af'ī nazar aatā hai mujhe
jauhar-e-teġh ba-sar-chashma-e-dīgar ma.alūm
huuñ maiñ vo sabza ki zahrāb ugātā hai mujhe
mudda'ā mahv-e-tamāshā-e-shikast-e-dil hai
ā.ina-ḳhāna meñ koī liye jaatā hai mujhe
naala sarmāya-e-yak-ālam o aalam kaf-e-ḳhāk
āsmāñ baiza-e-qumrī nazar aatā hai mujhe
zindagī meñ to vo mahfil se uThā dete the
dekhūñ ab mar ga.e par kaun uThātā hai mujhe
baaġh tujh bin gul-e-nargis se Darātā hai mujhe
chāhūñ gar sair-e-chaman aañkh dikhātā hai mujhe
shor-e-timsāl hai kis rashk-e-chaman kā yā rab
aa.ina baiza-e-bulbul nazar aatā hai mujhe
hairat-e-ā.ina anjām-e-junūñ huuñ jyuuñ sham'
kis qadar dāġh-e-jigar sho'la uThātā hai mujhe
maiñ huuñ aur hairat-e-jāved magar zauq-e-ḳhayāl
ba-fusūn-e-nigah-e-nāz satātā hai mujhe
hairat-e-fikr-e-suḳhan sāz-e-salāmat hai 'asad'
dil pas-e-zānū-e-ā.īna biThātā hai mujhe
bagh pa kar KHafaqani ye Daraata hai mujhe
saya-e-shaKH-e-gul af'i nazar aata hai mujhe
jauhar-e-tegh ba-sar-chashma-e-digar malum
hun main wo sabza ki zahrab ugata hai mujhe
mudda'a mahw-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai
aaina-KHana mein koi liye jata hai mujhe
nala sarmaya-e-yak-alam o aalam kaf-e-KHak
aasman baiza-e-qumri nazar aata hai mujhe
zindagi mein to wo mahfil se uTha dete the
dekhun ab mar gae par kaun uThata hai mujhe
bagh tujh bin gul-e-nargis se Daraata hai mujhe
chahun gar sair-e-chaman aankh dikhata hai mujhe
shor-e-timsal hai kis rashk-e-chaman ka ya rab
aaina baiza-e-bulbul nazar aata hai mujhe
hairat-e-aina anjam-e-junun hun jyun sham'
kis qadar dagh-e-jigar sho'la uThata hai mujhe
main hun aur hairat-e-jawed magar zauq-e-KHayal
ba-fusun-e-nigah-e-naz satata hai mujhe
hairat-e-fikr-e-suKHan saz-e-salamat hai 'asad'
dil pas-e-zanu-e-aina biThata hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.