bagh tha us mein aashiyan bhi tha
baaġh thā us meñ āshiyāñ bhī thā
chand roz āb-o-dāna yaañ bhī thā
saut-e-bulbul jigar meñ sāltī thī
ḳhanda-e-gul namak-fishāñ bhī thā
ḳhvān-e-qismat ke hāshiye pe jaleñ
kabhī ye musht-e-ustuḳhvāñ bhī thā
murġh-e-bustāñ ko sāmne mere
'mus.hafī' zahra-e-fuġhāñ bhī thaa?
anjuman meñ miyāñ-bashārat kī
ya.anī ik shaḳhs sher-ḳhvāñ bhī thā
bagh tha us mein aashiyan bhi tha
chand roz aab-o-dana yan bhi tha
saut-e-bulbul jigar mein salti thi
KHanda-e-gul namak-fishan bhi tha
KHwan-e-qismat ke hashiye pe jalen
kabhi ye musht-e-ustuKHwan bhi tha
murgh-e-bustan ko samne mere
'mushafi' zahra-e-fughan bhi tha?
anjuman mein miyan-bashaarat ki
yani ek shaKHs sher-KHwan bhi tha
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 54)
- Author : ghulaam hamdaanii mashafii
- Publication : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-doom) (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.