baghban bad-guman na ho jae
bāġhbāñ bad-gumāñ na ho jaa.e
dushman-e-āshiyāñ na ho jaa.e
gardisheñ baḌh rahī haiñ qismat se
ye zamīñ āsmāñ na ho jaa.e
muskurā to rahe haiñ aap magar
nazr-e-ātish jahāñ na ho jaa.e
dekh leñ ḳhud vo tāb-e-nazzāra
sharm jo darmiyāñ na ho jaa.e
chuTkiyoñ se tirī ye parda-e-dil
jān-e-man dhajjiyāñ na ho jaa.e
bijliyoñ ko hai zid kahīñ jal kar
ḳhaak ye āshiyāñ na ho jaa.e
terī rūdād-e-ishq bhī 'paikāñ'
qais kī dāstāñ na ho jaa.e
baghban bad-guman na ho jae
dushman-e-ashiyan na ho jae
gardishen baDh rahi hain qismat se
ye zamin aasman na ho jae
muskura to rahe hain aap magar
nazr-e-atish jahan na ho jae
dekh len KHud wo tab-e-nazzara
sharm jo darmiyan na ho jae
chuTkiyon se teri ye parda-e-dil
jaan-e-man dhajjiyan na ho jae
bijliyon ko hai zid kahin jal kar
KHak ye aashiyan na ho jae
teri rudad-e-ishq bhi 'paikan'
qais ki dastan na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.