baghban ne jaan rakh li bulbul-e-nashad ki
bāġhbāñ ne jaan rakh lī bulbul-e-nāshād kī
dast-e-gul-chīñ toḌ Daalā Taañg lī sayyād kī
shā.iro shān-e-ḳhudā hai tiir mizhgāñ ho ga.e
baaḌh abrū meñ hai paidā ḳhanjar-e-jallād kī
ishq-e-zālim kī koī dekhe karishma-sāziyāñ
jā ke majnūñ ko satāyā lī ḳhabar farhād kī
jhuuT kī had hai koī zer-o-zabar aalam huā
āsmāñ bhī phaT paḌā āshiq ne jab fariyād kī
nāma-bar se pūchhtā hai haal naama phaaḌ kar
dekhiye to chheḌ sāhab us sitam-ījād kī
us ko aur tum se mohabbat haañ ḳhudā kī shaan hai
kyoñ adū kambaḳht khātā hai qasam aulād kī
khīñchtā tasvīr kyūñkar dekh kar rob-e-jamāl
haath kāñpā mar ga.ī naanī vahīñ bahzād kī
furqat-e-jānāñ meñ siina ho gayā chhattīs inch
lāġharī dekhe to koī āshiq-e-nāshād kī
baghban ne jaan rakh li bulbul-e-nashad ki
dast-e-gul-chin toD Dala Tang li sayyaad ki
shairo shan-e-KHuda hai tir mizhgan ho gae
baDh abru mein hai paida KHanjar-e-jallad ki
ishq-e-zalim ki koi dekhe karishma-saziyan
ja ke majnun ko sataya li KHabar farhad ki
jhuT ki had hai koi zer-o-zabar aalam hua
aasman bhi phaT paDa aashiq ne jab fariyaad ki
nama-bar se puchhta hai haal nama phaD kar
dekhiye to chheD sahab us sitam-ijad ki
us ko aur tum se mohabbat han KHuda ki shan hai
kyon adu kambaKHt khata hai qasam aulad ki
khinchta taswir kyunkar dekh kar rob-e-jamal
hath kanpa mar gai nani wahin bahzad ki
furqat-e-jaanan mein sina ho gaya chhattis inch
laghari dekhe to koi aashiq-e-nashad ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.