baghon mein virane kitne
bāġhoñ meñ vīrāne kitne
ham jaise dīvāne kitne
sham.a tirī ġhairat kī ḳhātir
jalte haiñ parvāne kitne
ye jaane pahchāne chehre
lagte haiñ anjāne kitne
ahl-e-hijrāñ ko hote haiñ
rātoñ se yārāne kitne
'naġhma' mere jaise adhūre
hote haiñ afsāne kitne
baghon mein virane kitne
hum jaise diwane kitne
shama teri ghairat ki KHatir
jalte hain parwane kitne
ye jaane pahchane chehre
lagte hain anjaane kitne
ahl-e-hijran ko hote hain
raaton se yarane kitne
'naghma' mere jaise adhure
hote hain afsane kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.