bahar galiyon mein virani andar kamra sannaTa
bahar galiyon mein virani andar kamra sannaTa
Sanjay Kumar Kundan
MORE BYSanjay Kumar Kundan
bāhar galiyoñ meñ vīrānī andar kamra sannāTā
haar gayā āvāz kā lashkar dekho jiitā sannāTā
ḳhāmoshī ke nal se Tapaktīñ qatra-qatra āvāzeñ
dīvāroñ kī sīlan par hai kaa.ī jaisā sannāTā
garm dopahar meñ ye saḌkeñ hadd-e-nazar tak vīrāñ haiñ
tez dhuup ke saare badan se bahtā pasīna sannāTā
milnā-julnā gapp Thahāke pal pal apne saath chale
āḳhirī shab sab chhūT ga.e bas ik sāthī thā sannāTā
hoñToñ ke pahre-dāroñ ko niiñd kī de kar ek davā
dil ke tah-ḳhāne meñ haule haule utrā sannāTā
dastak degī ġhazal kī mehmāñ ehtimām ye us kā hai
chaa.e kī pyālī raat kī syāhī gahrā pasrā sannāTā
ek ghaḌī bhī chup nahīñ baiThā 'kundan' boltā rahtā thā
kis ko pata us meñ pinhā thā jīvan bhar kā sannāTā
bahar galiyon mein virani andar kamra sannaTa
haar gaya aawaz ka lashkar dekho jita sannaTa
KHamoshi ke nal se Tapaktin qatra-qatra aawazen
diwaron ki silan par hai kai jaisa sannaTa
garm dopahar mein ye saDken hadd-e-nazar tak viran hain
tez dhup ke sare badan se bahta pasina sannaTa
milna-julna gapp Thahake pal pal apne sath chale
aaKHiri shab sab chhuT gae bas ek sathi tha sannaTa
honTon ke pahre-daron ko nind ki de kar ek dawa
dil ke tah-KHane mein haule haule utra sannaTa
dastak degi ghazal ki mehman ehtimam ye us ka hai
chae ki pyali raat ki syahi gahra pasra sannaTa
ek ghaDi bhi chup nahin baiTha 'kundan' bolta rahta tha
kis ko pata us mein pinha tha jiwan bhar ka sannaTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.