bahar hisar-e-dard se aana na tha kabhi
bāhar hisār-e-dard se aanā na thā kabhī
jo dard ab milā hai vo jaanā na thā kabhī
iqrār-e-vāqa.ī se mirā dil saham gayā
apnā qusūr aap ne maanā na thā kabhī
uljhī havā charāġh se to jal gayā badan
maġhrūr sar kā naaz uThānā na thā kabhī
ab ke lahū kī rut meñ judā shāḳh se the phuul
maqtal kā rang itnā suhānā na thā kabhī
mahfūz kar liyā hai adālat ne faisla
qānūn-e-vaqf uzr-e-zamāna na thā kabhī
Tāñke 'shahāb' TuuT ga.e fart-e-dard se
manzūr dil kā dard dikhānā na thā kabhī
bahar hisar-e-dard se aana na tha kabhi
jo dard ab mila hai wo jaana na tha kabhi
iqrar-e-waqai se mera dil saham gaya
apna qusur aap ne mana na tha kabhi
uljhi hawa charagh se to jal gaya badan
maghrur sar ka naz uThana na tha kabhi
ab ke lahu ki rut mein juda shaKH se the phul
maqtal ka rang itna suhana na tha kabhi
mahfuz kar liya hai adalat ne faisla
qanun-e-waqf uzr-e-zamana na tha kabhi
Tanke 'shahab' TuT gae fart-e-dard se
manzur dil ka dard dikhana na tha kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.