bahar kabhi andar ki koi baat nahin ki
bāhar kabhī andar kī koī baat nahīñ kī
darvāze se bhī ghar kī koī baat nahīñ kī
malhūz rakhā maiñ ne un āñkhoñ kī namī ko
sahrā meñ samundar kī koī baat nahīñ kī
haarā to vo rotā rahā taqdīr kā ronā
jiitā to muqaddar kī koī baat nahīñ kī
us aañkh ne patjhaḌ kā koī zikr na chheḌā
dil ne bhī gul-e-tar kī koī baat nahīñ kī
ghar meñ bhī rahā ghar ke masā.il se gurezāñ
daftar meñ bhī daftar kī koī baat nahīñ kī
ḳhvāboñ kī kahānī ne mirī niiñd uḌā dī
phir takiya-o-chādar kī koī baat nahīñ kī
ab ishq meñ kuchh kaam nahīñ nāma-baroñ kā
so maiñ ne kabūtar kī koī baat nahīñ kī
bahar kabhi andar ki koi baat nahin ki
darwaze se bhi ghar ki koi baat nahin ki
malhuz rakha main ne un aankhon ki nami ko
sahra mein samundar ki koi baat nahin ki
haara to wo rota raha taqdir ka rona
jita to muqaddar ki koi baat nahin ki
us aankh ne patjhaD ka koi zikr na chheDa
dil ne bhi gul-e-tar ki koi baat nahin ki
ghar mein bhi raha ghar ke masail se gurezan
daftar mein bhi daftar ki koi baat nahin ki
KHwabon ki kahani ne meri nind uDa di
phir takiya-o-chadar ki koi baat nahin ki
ab ishq mein kuchh kaam nahin nama-baron ka
so main ne kabutar ki koi baat nahin ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.