bahar nikal ke dekhiye tufan kam hua
bāhar nikal ke dekhiye tūfān kam huā
mat roiye janāb kā nuqsān kam huā
sāda-dilī meñ jaan gañvānī paḌī hameñ
sab jhūTh kah rahe the ki haijān kam huā
ham ishtihār vaale nahīñ she'r vaale the
mehnat ziyāda kī ga.ī e'lān kam huā
ham to tumhāre hijr meñ mar hī ga.e the yaar
vāraftagī nahīñ thī so nuqsān kam huā
terā pata sañbhāl ke rakkhā ye chaal thī
maiñ apnī justujū meñ pareshān kam huā
sehhat kā ġhusl kar ke kiyā 'ishq zeb-e-tan
yā'nī badan kī maut pe īmān kam huā
bahar nikal ke dekhiye tufan kam hua
mat roiye janab ka nuqsan kam hua
sada-dili mein jaan ganwani paDi hamein
sab jhuTh kah rahe the ki haijaan kam hua
hum ishtihaar wale nahin she'r wale the
mehnat ziyaada ki gai e'lan kam hua
hum to tumhaare hijr mein mar hi gae the yar
waraftagi nahin thi so nuqsan kam hua
tera pata sanbhaal ke rakkha ye chaal thi
main apni justuju mein pareshan kam hua
sehhat ka ghusl kar ke kiya 'ishq zeb-e-tan
ya'ni badan ki maut pe iman kam hua
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 79)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.