bahar rah ya ghar mein rah
bāhar rah yā ghar meñ rah
mere dil-banjar meñ rah
sahrā jañgal meñ mat jā
niiñd mire bistar meñ rah
manzil manzil dhokā hai
mere paañv safar meñ rah
bāhar jitnā ghuum ke aa
kuchh apne andar meñ rah
had se bāhar paañv na de
apnī hī chādar meñ rah
apnā jiinā marnā kyā
qātil mere ḳhabar meñ rah
jaise din jo mausam ho
tū har vaqt nazar meñ rah
bahar rah ya ghar mein rah
mere dil-banjar mein rah
sahra jangal mein mat ja
nind mere bistar mein rah
manzil manzil dhoka hai
mere panw safar mein rah
bahar jitna ghum ke aa
kuchh apne andar mein rah
had se bahar panw na de
apni hi chadar mein rah
apna jina marna kya
qatil mere KHabar mein rah
jaise din jo mausam ho
tu har waqt nazar mein rah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.