bais-e-rahat-e-dil mera muqaddar nikla
bais-e-rahat-e-dil mera muqaddar nikla
Mohammad Sharfuddin Sahil
MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil
bā.is-e-rāhat-e-dil merā muqaddar niklā
jis ko samjhā thā bayābāñ vo mirā ghar niklā
husn-e-ma.asūm kī taqdīs ko rusvā na kiyā
jitnā ilzām hai ḳhush huuñ ki mire sar niklā
hai sabab rū-e-munavvar mirī barbādī kā
haath aayā thā jo yāqūt vo patthar niklā
dars lo himmat-e-ālī se mirī dīvāno
maiñ vo dāman huuñ jo kāñToñ se ulajh kar niklā
luT gayā manzil-e-maqsad pe pahuñch kar afsos
rahnumā jis ko maiñ samjhā thā sitamgar niklā
zulmat-e-shab huī kāfūr yakāyak 'sāhil'
matla.a-e-sub.h se jab mehr-e-munavvar niklā
bais-e-rahat-e-dil mera muqaddar nikla
jis ko samjha tha bayaban wo mera ghar nikla
husn-e-masum ki taqdis ko ruswa na kiya
jitna ilzam hai KHush hun ki mere sar nikla
hai sabab ru-e-munawwar meri barbaadi ka
hath aaya tha jo yaqut wo patthar nikla
dars lo himmat-e-ali se meri diwano
main wo daman hun jo kanTon se ulajh kar nikla
luT gaya manzil-e-maqsad pe pahunch kar afsos
rahnuma jis ko main samjha tha sitamgar nikla
zulmat-e-shab hui kafur yakayak 'sahil'
matla-e-subh se jab mehr-e-munawwar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.