baal khole lab-e-dariya jo nahane ke liye
baal khole lab-e-dariyā jo nahāne ke liye
machhliyāñ kānoñ kī taḌpeñ utar aane ke liye
ham to kyā ruuh bhī sau jaan se dauḌī aatī
aadmī koī bhī bhejā thā bulāne ke liye
aa gayā dard jo pahlū meñ taḌapte dekhā
baḌh chalā dard-e-jigar dil ko uThāne ke liye
sin na pūchho abhī kyā hai ki javānī in kī
god meñ aa.ī hai bachpan ko khilāne ke liye
baat rakh lī tirī mahfil meñ bhī chalte chalte
dard-e-dil aap uThā mere biThāne ke liye
hogī ḳhiffat unheñ dam toḌ chukā hai 'safdar'
aise rūThe ki na aa.eñ vo manāne ke liye
baal khole lab-e-dariya jo nahane ke liye
machhliyan kanon ki taDpen utar aane ke liye
hum to kya ruh bhi sau jaan se dauDi aati
aadmi koi bhi bheja tha bulane ke liye
aa gaya dard jo pahlu mein taDapte dekha
baDh chala dard-e-jigar dil ko uThane ke liye
sin na puchho abhi kya hai ki jawani in ki
god mein aai hai bachpan ko khilane ke liye
baat rakh li teri mahfil mein bhi chalte chalte
dard-e-dil aap uTha mere biThane ke liye
hogi KHiffat unhen dam toD chuka hai 'safdar'
aise ruThe ki na aaen wo manane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.