baal-o-par rakhte nahin azm-e-safar rakhte hain
bāl-o-par rakhte nahīñ azm-e-safar rakhte haiñ
shauq-e-parvāz ba-andāz-e-digar rakhte haiñ
haath uThāne kī koī shart duā meñ kab hai
tere ushshāq nigāhoñ meñ asar rakhte haiñ
bil-irāda na sahī yuuñ hī kabhī aa jaao
pyaar ke raste meñ ham chhoTā sā ghar rakhte haiñ
ye alag baat ki aate haiñ nazar zarra-sifat
varna qadmoñ meñ to ham shams-o-qamar rakhte haiñ
dhuup hai ret hai aur apnā safar hai jaarī
saaya rakhte haiñ na ham log shajar rakhte haiñ
us taraf vaale nazar aate haiñ larzīda magar
is taraf vaale kaf-e-dast pe sar rakhte haiñ
pur-sukūñ hai jo fazā us pe na jaanā 'anjum'
āshiyāñ kitne abhī barq-o-sharar rakhte haiñ
baal-o-par rakhte nahin azm-e-safar rakhte hain
shauq-e-parwaz ba-andaz-e-digar rakhte hain
hath uThane ki koi shart dua mein kab hai
tere ushshaq nigahon mein asar rakhte hain
bil-irada na sahi yun hi kabhi aa jao
pyar ke raste mein hum chhoTa sa ghar rakhte hain
ye alag baat ki aate hain nazar zarra-sifat
warna qadmon mein to hum shams-o-qamar rakhte hain
dhup hai ret hai aur apna safar hai jari
saya rakhte hain na hum log shajar rakhte hain
us taraf wale nazar aate hain larzida magar
is taraf wale kaf-e-dast pe sar rakhte hain
pur-sukun hai jo faza us pe na jaana 'anjum'
aashiyan kitne abhi barq-o-sharar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.