baam par aao kabhi mah-e-daraKHshan ki tarah
baam par aao kabhī māh-e-daraḳhshāñ kī tarah
chhup ke kyā jalnā charāġh-e-tah-e-dāmāñ kī tarah
umr bhar vo dar-o-dīvār ke pāband rahe
ghar se nikle hī nahīñ haiñ mire armāñ kī tarah
ab use dekhūñ to pahchān bhī shāyad na sakūñ
dil mirā TuuT gayā yaar ke paimāñ kī tarah
dasht kī raah to lī ālam-e-vahshat meñ magar
dasht bhī niklā mire ḳhāna-e-vīrāñ kī tarah
qais ko dekhā thā maiñ ne sar-e-sahrā ik din
sar se pā tak thā faqat dīda-e-hairāñ kī tarah
nasha-e-mai ho ki husn-e-ruḳh-e-jānāñ 'ārif'
sar chaḌhānā na kisī ko kabhī ehsāñ kī tarah
baam par aao kabhi mah-e-daraKHshan ki tarah
chhup ke kya jalna charagh-e-tah-e-daman ki tarah
umr bhar wo dar-o-diwar ke paband rahe
ghar se nikle hi nahin hain mere arman ki tarah
ab use dekhun to pahchan bhi shayad na sakun
dil mera TuT gaya yar ke paiman ki tarah
dasht ki rah to li aalam-e-wahshat mein magar
dasht bhi nikla mere KHana-e-viran ki tarah
qais ko dekha tha main ne sar-e-sahra ek din
sar se pa tak tha faqat dida-e-hairan ki tarah
nasha-e-mai ho ki husn-e-ruKH-e-jaanan 'arif'
sar chaDhana na kisi ko kabhi ehsan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.