baam par yar ka chehra dekha
baam par yaar kā chehra dekhā
tuur par nuur kā sho.alā dekhā
dil meñ duniyā kā tamāshā dekhā
maujzan kuuze meñ dariyā dekhā
dekh us rū-e-tilā.ī par ḳhat
ho na kundan pe jo miinā dekhā
aah naale se na niklā kuchh kaam
āsmāñ tak use pahuñchā dekhā
qāsid itnā hī tū kah de mujh se
ḳhat ko paḌhvā ke sunā yā dekhā
rahtā hai mujh hī se TeḌhā vo sarv
varna sab se use sīdhā dekhā
raah meñ kal vo yakāyak jo milā
merī jānib ko na aslā dekhā
arz kī maiñ ne idhar to dekho
kahā muñh pher ke dekhā dekhā
jis ne dekhā dahan-e-jānāñ ko
'bāqī' anqā ko hai goyā dekhā
baam par yar ka chehra dekha
tur par nur ka shoala dekha
dil mein duniya ka tamasha dekha
maujzan kuze mein dariya dekha
dekh us ru-e-tilai par KHat
ho na kundan pe jo mina dekha
aah nale se na nikla kuchh kaam
aasman tak use pahuncha dekha
qasid itna hi tu kah de mujh se
KHat ko paDhwa ke suna ya dekha
rahta hai mujh hi se TeDha wo sarw
warna sab se use sidha dekha
rah mein kal wo yakayak jo mila
meri jaanib ko na asla dekha
arz ki main ne idhar to dekho
kaha munh pher ke dekha dekha
jis ne dekha dahan-e-jaanan ko
'baqi' anqa ko hai goya dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.