bandh kar kamar jab bhi hum pa-e-safar nikle
bāñdh kar kamar jab bhī ham pa-e-safar nikle
zindagī ke sab raste terī rahguzar nikle
sochte haiñ kyoñ āḳhir zauq-e-sajda-rezī meñ
ham jahāñ jabīñ rakkheñ vo tirā hī dar nikle
jo the nāpne vaale zaḳhm-e-dil kī gahrā.ī
apnī shoḳh nazroñ se kitne be-ḳhabar nikle
sochte haiñ kyā hogā haal phir bahāroñ kā
shahr-e-lāla-o-gul se ham jo ruuTh kar nikle
vaqt ke añdhere meñ ziist kī siyāhī meñ
raushnī ke afsāne kitne muḳhtasar nikle
husn aarzū kis kī ishq mudda.ā kis kā
is hujūm-e-hairāñ meñ donoñ be-ḳhabar nikle
ham jinheñ samajhte the narm-rū hasīñ saa.e
vo savād-e-sahrā kī tez dopahar nikle
mai-kade ke darvāze band ho ga.e 'nāzim'
tishnagī muqaddar kī le ke ham jidhar nikle
bandh kar kamar jab bhi hum pa-e-safar nikle
zindagi ke sab raste teri rahguzar nikle
sochte hain kyon aaKHir zauq-e-sajda-rezi mein
hum jahan jabin rakkhen wo tera hi dar nikle
jo the napne wale zaKHm-e-dil ki gahrai
apni shoKH nazron se kitne be-KHabar nikle
sochte hain kya hoga haal phir bahaaron ka
shahr-e-lala-o-gul se hum jo ruTh kar nikle
waqt ke andhere mein zist ki siyahi mein
raushni ke afsane kitne muKHtasar nikle
husn aarzu kis ki ishq muddaa kis ka
is hujum-e-hairan mein donon be-KHabar nikle
hum jinhen samajhte the narm-ru hasin sae
wo sawad-e-sahra ki tez dopahar nikle
mai-kade ke darwaze band ho gae 'nazim'
tishnagi muqaddar ki le ke hum jidhar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.