bandha tha kisi shoKH se paiman-e-tamanna
bāñdhā thā kisī shoḳh se paimān-e-tamanna
rangīñ hai mirā ālam-e-imkān-e-tamanna
ik zulf-e-siyah mast thī īmān-e-tamanna
ik chehra-e-gulnār thā unvān-e-tamannā
sad-shukr ki tūfān-e-havādis ke muqābil
jaltī hī rahī sham.a-e-shabistān-e-tamanna
vo arz-e-muqaddas hai kahāñ chāñd-sitāro
khilte haiñ jahāñ lāla-o-raihān-e-tamanna
āvāra-e-darmāñ mujhe rakkhegā azal tak
ye dil meñ khaTaktā huā paikān-e-tamanna
zindāñ se kisī tarah nahīñ kam ye ḳhudā.ī
har dil hai yahāñ soḳhta-sāmān-e-tamannā
bandha tha kisi shoKH se paiman-e-tamanna
rangin hai mera aalam-e-imkan-e-tamanna
ek zulf-e-siyah mast thi iman-e-tamanna
ek chehra-e-gulnar tha unwan-e-tamanna
sad-shukr ki tufan-e-hawadis ke muqabil
jalti hi rahi shama-e-shabistan-e-tamanna
wo arz-e-muqaddas hai kahan chand-sitaro
khilte hain jahan lala-o-raihan-e-tamanna
aawara-e-darman mujhe rakkhega azal tak
ye dil mein khaTakta hua paikan-e-tamanna
zindan se kisi tarah nahin kam ye KHudai
har dil hai yahan soKHta-saman-e-tamanna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.