bandhe agar jo duniya kisi Dor se mujhe
bāñdhe agar jo duniyā kisī Dor se mujhe
to khīñch lenā apnī taraf zor se mujhe
kuchh bol aur kaaT de ḳhāmoshiyoñ kā jaal
vahshat hai yaar itne ghane shor se mujhe
dāḳhil huuñ tere dil meñ dabe paañv kis tarah
ye kaam sīkhnā hai kisī chor se mujhe
ve pūchhe merī ḳhvāhisheñ to maiñ use kahūñ
ik va.ada chāhiye thā tirī or se mujhe
marne kī baat laayā hī thā maiñ zabān par
ġhusse meñ us ne DāñTā bahut zor se mujhe
bandhe agar jo duniya kisi Dor se mujhe
to khinch lena apni taraf zor se mujhe
kuchh bol aur kaT de KHamoshiyon ka jal
wahshat hai yar itne ghane shor se mujhe
daKHil hun tere dil mein dabe panw kis tarah
ye kaam sikhna hai kisi chor se mujhe
we puchhe meri KHwahishen to main use kahun
ek wada chahiye tha teri or se mujhe
marne ki baat laya hi tha main zaban par
ghusse mein us ne DanTa bahut zor se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.