banhon mein yar ho, koi fursat ki sham ho
bāñhoñ meñ yaar ho, koī fursat kī shaam ho
aur bārgāh-e-ishq-alaihis-salām ho
chamkī huī ho mausam-e-sarmā kī ik dopahar
ḳhush-sabz rāstoñ meñ koī ham-ḳhirām ho
chūmā thā maiñ ne jis ko, ijāzat kī ek shaam
us kākul-e-siyah kā bahut ehtimām ho
lab ho kisī bahār-e-muambar se bosa-yāb
aur us ke shukr meñ koī hoñToñ kā jaam ho
mahkī huī milo kisī chāhat kī yaad se
chāhat kā chāhe mere alāva bhī naam ho
banhon mein yar ho, koi fursat ki sham ho
aur bargah-e-ishq-alaihis-salam ho
chamki hui ho mausam-e-sarma ki ek dopahar
KHush-sabz raston mein koi ham-KHiram ho
chuma tha main ne jis ko, ijazat ki ek sham
us kakul-e-siyah ka bahut ehtimam ho
lab ho kisi bahaar-e-muambar se bosa-yab
aur us ke shukr mein koi honTon ka jam ho
mahki hui milo kisi chahat ki yaad se
chahat ka chahe mere alawa bhi nam ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.