bankpan khul na saka paD gai taswir pe KHak
bāñkpan khul na sakā paḌ ga.ī tasvīr pe ḳhaak
ḳhaak hasrat pe mirī sabr kī jāgīr pe ḳhaak
jaan jaatī to mohabbat kā bharam rah jaatā
surḳh-rū ho na sakā khaa.e hue tiir pe ḳhaak
chand alfāz kī tartīb ko kahte ho ġhazal
aise alfāz kī tartīb pe tahrīr pe ḳhaak
ḳhvāb dekhā hai ki pahlū meñ kināra-kash ho
ḳhaak us ḳhvāb pe us ḳhvāb kī ta.abīr pe ḳhaak
maiñ falak-bos na ho paayā kisī bhī fan meñ
ḳhaam buniyād pe rakkhī mirī ta.amīr pe ḳhaak
bankpan khul na saka paD gai taswir pe KHak
KHak hasrat pe meri sabr ki jagir pe KHak
jaan jati to mohabbat ka bharam rah jata
surKH-ru ho na saka khae hue tir pe KHak
chand alfaz ki tartib ko kahte ho ghazal
aise alfaz ki tartib pe tahrir pe KHak
KHwab dekha hai ki pahlu mein kinara-kash ho
KHak us KHwab pe us KHwab ki tabir pe KHak
main falak-bos na ho paya kisi bhi fan mein
KHam buniyaad pe rakkhi meri tamir pe KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.