banT Dale aise humne dil ke TukDe kaT kar
baañT Daale aise ham ne dil ke TukḌe kaaT kar
janm-din pe bāñTte haiñ cake jaise kaaT kar
ik añgūThī le na paa.eñ itne meñ us ke liye
joḌ rakkhe the jo paise jeb ḳharche kaaT kar
ham nadī ke do kināre milnā to mumkin nahīñ
par mileñge ek din donoñ kināre kaaT kar
hausloñ pe in parindoñ ke na karnā shak kabhī
hai rihā honā jinheñ piñjra paroñ se kaaT kar
ishq jis meñ nā bichhaḌne kā zarā bhī Dar rahe
khelnā hai khel par sāñpoñ ke khāne kaaT kar
zindagī se aise kaaTā scene us ne ishq kā
dekhtā hai koī jaise film gaane kaaT kar
banT Dale aise hum ne dil ke TukDe kaT kar
janm-din pe banTte hain cake jaise kaT kar
ek anguThi le na paen itne mein us ke liye
joD rakkhe the jo paise jeb KHarche kaT kar
hum nadi ke do kinare milna to mumkin nahin
par milenge ek din donon kinare kaT kar
hauslon pe in parindon ke na karna shak kabhi
hai riha hona jinhen pinjra paron se kaT kar
ishq jis mein na bichhaDne ka zara bhi Dar rahe
khelna hai khel par sanpon ke khane kaT kar
zindagi se aise kaTa scene us ne ishq ka
dekhta hai koi jaise film gane kaT kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.