baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai
baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai
Mohammad Wilayatullah
MORE BYMohammad Wilayatullah
Interesting Fact
October 1938
baaqī hai tāb-e-zabt na tāqat fuġhāñ kī hai
hālat bahut saqīm dil-e-nā-tavāñ kī hai
āñkhoñ meñ josh hai kabhī tūfān nuuh kā
dil meñ mire taḌap kabhī barq-e-tapāñ kī hai
ai āh-e-nā-rasā tire naale haiñ be-asar
behtar yahī hai baat rahe jo jahāñ kī hai
hotā hai josh gar ye jo ab baat baat par
dil meñ mire ye choT ilāhī kahāñ kī hai
ai dil tujhe natīja-e-ulfat hai ḳhuub yaad
aur phir bhī aarzū tujhe kū-e-butāñ kī hai
jis ko samajh rahe haiñ vo bādal kī ik garaj
fariyād dardnāk kisī ḳhasta-jāñ kī hai
bulbul hai ḳhush ki baaġh meñ hai ḳhaak āshiyāñ
ye kaun jāntā hai ki miTTī kahāñ kī hai
sone diyā na shor-e-qayāmat ne qabr meñ
samjhā thā maiñ ki jaa.e ye amn-o-amāñ kī hai
rañg-e-shafaq se shaam ko miltā hai ye patā
ab āsmāñ pe gard mire kārvāñ kī hai
mansūr kī fanā hai baqā-e-sadā-e-haq
āvāz vādiyoñ meñ abhī tak azaañ kī hai
samjhā rahā huuñ dil ko nahīñ phir bhī e'timād
vo baat kah rahā huuñ jo un kī zabāñ kī hai
hai dil-gudāz yuuñ bhī mirī dāstān-e-ġham
tāsīr us pe kuchh mire tarz-e-bayāñ kī hai
'hāfiz' ye kā.enāt na ho jaa.e jal ke ḳhaak
baḌhtī huī tapish mire soz-e-nihāñ kī hai
baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai
haalat bahut saqim dil-e-na-tawan ki hai
aankhon mein josh hai kabhi tufan nuh ka
dil mein mere taDap kabhi barq-e-tapan ki hai
ai aah-e-na-rasa tere nale hain be-asar
behtar yahi hai baat rahe jo jahan ki hai
hota hai josh gar ye jo ab baat baat par
dil mein mere ye choT ilahi kahan ki hai
ai dil tujhe natija-e-ulfat hai KHub yaad
aur phir bhi aarzu tujhe ku-e-butan ki hai
jis ko samajh rahe hain wo baadal ki ek garaj
fariyaad dardnak kisi KHasta-jaan ki hai
bulbul hai KHush ki bagh mein hai KHak aashiyan
ye kaun jaanta hai ki miTTi kahan ki hai
sone diya na shor-e-qayamat ne qabr mein
samjha tha main ki jae ye amn-o-aman ki hai
rang-e-shafaq se sham ko milta hai ye pata
ab aasman pe gard mere karwan ki hai
mansur ki fana hai baqa-e-sada-e-haq
aawaz wadiyon mein abhi tak azan ki hai
samjha raha hun dil ko nahin phir bhi e'timad
wo baat kah raha hun jo un ki zaban ki hai
hai dil-gudaz yun bhi meri dastan-e-gham
tasir us pe kuchh mere tarz-e-bayan ki hai
'hafiz' ye kaenat na ho jae jal ke KHak
baDhti hui tapish mere soz-e-nihan ki hai
- Soz-o-gudaaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.