baqi jo log hain kahin hote
baaqī jo log haiñ kahīñ hote
shahr meñ bas tumhīñ makīñ hote
rāste sab agar hasīñ hote
fāsle paidā hī nahīñ hote
haa.e vo āsmān bhī kyā thā
maiñ ne dekhā jise zamīñ hote
tū hī tū hai tirī kahānī meñ
kaash ham bhī kahīñ kahīñ hote
ye sutūn āñdhiyoñ meñ kyoñ girte
gar zarā aur tah-e-zamīñ hote
bas meñ hotī jo gardish-e-daurāñ
tum jahāñ hote ham vahīñ hote
pyaar kyā sirf jī-huzūrī hai
aap nārāz kyoñ nahīñ hote
phuul itrā rahe haiñ ḳhushbū par
kaash tum bhī yahīñ kahīñ hote
ye bhī sach hai ki rū-barū tere
ham jo hote haiñ vo nahīñ hote
baqi jo log hain kahin hote
shahr mein bas tumhin makin hote
raste sab agar hasin hote
fasle paida hi nahin hote
hae wo aasman bhi kya tha
main ne dekha jise zamin hote
tu hi tu hai teri kahani mein
kash hum bhi kahin kahin hote
ye sutun aandhiyon mein kyon girte
gar zara aur tah-e-zamin hote
bas mein hoti jo gardish-e-dauran
tum jahan hote hum wahin hote
pyar kya sirf ji-huzuri hai
aap naraaz kyon nahin hote
phul itra rahe hain KHushbu par
kash tum bhi yahin kahin hote
ye bhi sach hai ki ru-baru tere
hum jo hote hain wo nahin hote
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 70)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.