baqi nahin jahan mein jaur-o-jafa ka zikr
baaqī nahīñ jahān meñ jaur-o-jafā kā zikr
lab par hai har bashar ke faqat karbalā kā zikr
hāthoñ meñ mere dekh ke tīr-o-kamān ko
taa.ir tamām karne lage badduā kā zikr
merī hudūd-e-fikr se bāhar haiñ shaiḳh jī
hāthoñ meñ jaam aur laboñ par ḳhudā kā zikr
shahr-e-adab ke saare qalam-kār thak ga.e
kāmil na ho sakā tirī nāzuk adā kā zikr
sab kuchh jahāñ meñ chhoḌ diyā ḳhaak ho ga.e
ye muḳhtasar hai aur sunā.ūñ anā kā zikr
muflis mire dayār kā ġhairat se mar gayā
ek roz bhī kiyā na kisī se ġhizā kā zikr
be-pardagī pe hone lagī hai p h d
baaqī nahīñ kitāb-e-hayā meñ hayā kā zikr
ahmaq bashar misāl bhī kutte kī lā.egā
hogā jahāñ-jahāñ bhī jahāñ meñ vafā kā zikr
jitne charāġh the sabhī dahshat se bujh ga.e
parvāne kar rahe the paroñ kī havā kā zikr
'mehvar' palaT na jaa.e mirī kashtī-e-hayāt
ik arsa ho gayā hai kiye nāḳhudā kā zikr
baqi nahin jahan mein jaur-o-jafa ka zikr
lab par hai har bashar ke faqat karbala ka zikr
hathon mein mere dekh ke tir-o-kaman ko
tair tamam karne lage baddua ka zikr
meri hudud-e-fikr se bahar hain shaiKH ji
hathon mein jam aur labon par KHuda ka zikr
shahr-e-adab ke sare qalam-kar thak gae
kaamil na ho saka teri nazuk ada ka zikr
sab kuchh jahan mein chhoD diya KHak ho gae
ye muKHtasar hai aur sunaun ana ka zikr
muflis mere dayar ka ghairat se mar gaya
ek roz bhi kiya na kisi se ghiza ka zikr
be-pardagi pe hone lagi hai p h d
baqi nahin kitab-e-haya mein haya ka zikr
ahmaq bashar misal bhi kutte ki laega
hoga jahan-jahan bhi jahan mein wafa ka zikr
jitne charagh the sabhi dahshat se bujh gae
parwane kar rahe the paron ki hawa ka zikr
'mehwar' palaT na jae meri kashti-e-hayat
ek arsa ho gaya hai kiye naKHuda ka zikr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.