baqi sab ko harana paDta hai
baaqī sab ko harānā paḌtā hai
us ko tanhā jitānā paḌtā hai
chādareñ ye kahāñ samajhtī haiñ
ham ko qad bhī baḌhānā paḌtā hai
jo bhī chāhe ḳharīd le ham ko
bas gale se lagānā paḌtā hai
'ishq meñ ghar banāne se pahle
ghar kā malba banānā paḌtā hai
pyaas āsānī se nahīñ bantī
pahle dariyā banānā paḌtā hai
us kī hairānī ke baġhair hameñ
qissa aage baḌhānā paḌtā hai
roz bāhar kī chhaT-paTāhaT ko
apne andar khapānā paḌtā hai
baqi sab ko harana paDta hai
us ko tanha jitana paDta hai
chadaren ye kahan samajhti hain
hum ko qad bhi baDhana paDta hai
jo bhi chahe KHarid le hum ko
bas gale se lagana paDta hai
'ishq mein ghar banane se pahle
ghar ka malba banana paDta hai
pyas aasani se nahin banti
pahle dariya banana paDta hai
us ki hairani ke baghair hamein
qissa aage baDhana paDta hai
roz bahar ki chhaT-paTahaT ko
apne andar khapana paDta hai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 110)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.