bar-e-ehsan se kisi tarah ubharne na diya
bār-e-ehsāñ se kisī tarah ubharne na diyā
chārāgar ne kabhī jiine kabhī marne na diyā
zindagī mujh ko liye phirtī hai tūfāñ tūfāñ
jur.at-e-shauq ne sāhil pe Thaharne na diyā
yaas meñ bhī kisī ummīd pe jiite hī rahe
maut aa.ī magar ummīd ne marne na diyā
azmat-e-ishq kahāñ hirs-o-havas kī galiyāñ
ishq ne past fazāoñ meñ utarne na diyā
dil ke zaḳhmoñ ke liye vaqt baḌā marham thā
chārasāzoñ ne magar zaḳhm ko bharne na diyā
bar-e-ehsan se kisi tarah ubharne na diya
chaaragar ne kabhi jine kabhi marne na diya
zindagi mujh ko liye phirti hai tufan tufan
jurat-e-shauq ne sahil pe Thaharne na diya
yas mein bhi kisi ummid pe jite hi rahe
maut aai magar ummid ne marne na diya
azmat-e-ishq kahan hirs-o-hawas ki galiyan
ishq ne past fazaon mein utarne na diya
dil ke zaKHmon ke liye waqt baDa marham tha
chaarasazon ne magar zaKHm ko bharne na diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.