bar-e-gham-e-hayat ko sar par sameT kar
bar-e-gham-e-hayat ko sar par sameT kar
Mohammad Ismail Shadan
MORE BYMohammad Ismail Shadan
bār-e-ġham-e-hayāt ko sar par sameT kar
ai dost pheñk aaya huuñ yaksar sameT kar
bezār zindagī se ye kar degī ek din
rakhnā zarūriyāt kī chādar sameT kar
māñge hai buuñd buuñd samandar se ab vahī
rakhtā thā kal talak jo samandar sameT kar
bād-e-ḳhizāñ ne baaġh ko tārāj kar diyā
sab le ga.ī bahār kā manzar sameT kar
jī chāhtā hai aap ke dāman meñ Daal duuñ
laayā huuñ jo chaman se gul-e-tar sameT kar
sarmāya-e-hayāt hai 'shādāñ' mire liye
rakkhā hai us kī yaad ko andar sameT kar
bar-e-gham-e-hayat ko sar par sameT kar
ai dost phenk aaya hun yaksar sameT kar
bezar zindagi se ye kar degi ek din
rakhna zaruriyat ki chadar sameT kar
mange hai bund bund samandar se ab wahi
rakhta tha kal talak jo samandar sameT kar
baad-e-KHizan ne bagh ko taraj kar diya
sab le gai bahaar ka manzar sameT kar
ji chahta hai aap ke daman mein Dal dun
laya hun jo chaman se gul-e-tar sameT kar
sarmaya-e-hayat hai 'shadan' mere liye
rakkha hai us ki yaad ko andar sameT kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.