bar-e-gham se dam labon par aa gaya
bār-e-ġham se dam laboñ par aa gayā
aise jiine se to jī ghabrā gayā
ḳhuld kī tārīf āḳhir tā-ba-ke
sunte sunte jī mirā uktā gayā
haa.e kab laa.ī sabā paiġhām-e-zīst
ġhuncha-e-ummīd jab murjhā gayā
kaun hotā hai kisī kā ḳhizr-e-rāh
apnī manzil tak har ik tanhā gayā
ye bhī kyā kam hai shab-e-ġham kā karam
mujh ko jiine kā salīqa aa gayā
kyoñ araq-ālūda peshānī huī
yaad shāyad aap ko kuchh aa gayā
ab to qaul-e-‘dard’ hai vird-e-zabāñ
bas hujūm-e-yās jī ghabrā gayā
ajnabī huuñ aaj maiñ us bazm meñ
bār-hā 'tālib' jahāñ aayā gayā
bar-e-gham se dam labon par aa gaya
aise jine se to ji ghabra gaya
KHuld ki tarif aaKHir ta-ba-ke
sunte sunte ji mera ukta gaya
hae kab lai saba paigham-e-zist
ghuncha-e-ummid jab murjha gaya
kaun hota hai kisi ka KHizr-e-rah
apni manzil tak har ek tanha gaya
ye bhi kya kam hai shab-e-gham ka karam
mujh ko jine ka saliqa aa gaya
kyon araq-aluda peshani hui
yaad shayad aap ko kuchh aa gaya
ab to qaul-e-‘dard’ hai wird-e-zaban
bas hujum-e-yas ji ghabra gaya
ajnabi hun aaj main us bazm mein
bar-ha 'talib' jahan aaya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.