bare gham-e-firaq uThata raha hun main
baare ġham-e-firāq uThātā rahā huuñ maiñ
sham.a jalā jalā ke bujhātā rahā huuñ maiñ
sāre-jahāñ ko dil se bhulātā rahā huuñ maiñ
bas yaad terī dil meñ basātā rahā huuñ maiñ
dīvār-o-dar ke dil ke nazar ke ḳhayāl ke
har aa.ine se ḳhud ko chhupātā rahā huuñ maiñ
nazreñ uThā ke dekh bhī le ik nazar mujhe
ai dost terī bazm meñ aatā rahā huuñ maiñ
baḌhtā rahe shabāb ye har roz har ghaḌī
ā.īna ban ke tujh ko sajātā rahā huuñ maiñ
is shahr-e-be-vafā meñ jafāoñ ke ba.ad bhī
'arpit' vafā ke phuul khilātā rahā huuñ maiñ
bare gham-e-firaq uThata raha hun main
shama jala jala ke bujhata raha hun main
sare-jahan ko dil se bhulata raha hun main
bas yaad teri dil mein basata raha hun main
diwar-o-dar ke dil ke nazar ke KHayal ke
har aaine se KHud ko chhupata raha hun main
nazren uTha ke dekh bhi le ek nazar mujhe
ai dost teri bazm mein aata raha hun main
baDhta rahe shabab ye har roz har ghaDi
aaina ban ke tujh ko sajata raha hun main
is shahr-e-be-wafa mein jafaon ke baad bhi
'arpit' wafa ke phul khilata raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.