bare gham kuchh halka hota
baare ġham kuchh halkā hotā
ro lete to achchhā hotā
chāñd sitāre māñge ham ne
kuchh to āḳhir sochā hotā
paañv tamāzat maañg rahe haiñ
sar kī ḳhvāhish saayā hotā
kuchh rakkhā hai in bātoñ meñ
aisā hotā vaisā hotā
maiñ jo pā jaatā to tujh ko
ab tak bhuul bhī baiThā hotā
lutf-e-javānī luuTā ham ne
dūr-e-za.īfī kis kā hotā
kaash ye lafz paroñ se hote
aur 'ḳhayāl' parinda hotā
bare gham kuchh halka hota
ro lete to achchha hota
chand sitare mange hum ne
kuchh to aaKHir socha hota
panw tamazat mang rahe hain
sar ki KHwahish saya hota
kuchh rakkha hai in baaton mein
aisa hota waisa hota
main jo pa jata to tujh ko
ab tak bhul bhi baiTha hota
lutf-e-jawani luTa hum ne
dur-e-zaifi kis ka hota
kash ye lafz paron se hote
aur 'KHayal' parinda hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.