barha aazmae jaane se
bārhā āzmā.e jaane se
dil pareshāñ hai is zamāne se
ab kamī terī khaa.e jaatī hai
pahle ḳhush thā maiñ tere jaane se
vaar us kā achūk thā mujh par
tiir ḳhud haT gayā nishāne se
yaad karte haiñ us ko ab bhī ham
par kisī hiile se bahāne se
umr ne dil meñ gard bhar dī hai
ye haTegī nahīñ haTāne se
ye yaqīnan kisī kā hogā phir
pahle dil aa to le Thikāne se
barha aazmae jaane se
dil pareshan hai is zamane se
ab kami teri khae jati hai
pahle KHush tha main tere jaane se
war us ka achuk tha mujh par
tir KHud haT gaya nishane se
yaad karte hain us ko ab bhi hum
par kisi hile se bahane se
umr ne dil mein gard bhar di hai
ye haTegi nahin haTane se
ye yaqinan kisi ka hoga phir
pahle dil aa to le Thikane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.