barha KHud ko badalne ka irada kar ke
bārhā ḳhud ko badalne kā irāda kar ke
yaar maiñ thak gayā ye kaam ziyāda kar ke
apne rahne kī jagah bhī na mujhe mil paa.ī
maiñ ne dekhā hai bahut ḳhud ko kushāda kar ke
titliyāñ uḌ ga.iiñ lauTā ke mohabbat merī
maiñ ne bhī chhoḌ diyā rangoñ ko saada kar ke
tere na hone se kal raat añdherā thā bahut
chāñd bhī niklā thā bādal ko libāda kar ke
us ne paimān-e-vafā jaan liyā milne ko
maiñ kab aayā thā idhar koī irāda kar ke
ik baḌā mā'raka yuuñ sar huā āsānī se
shaah ko kaaT diyā maiñ ne piyāda kar ke
barha KHud ko badalne ka irada kar ke
yar main thak gaya ye kaam ziyaada kar ke
apne rahne ki jagah bhi na mujhe mil pai
main ne dekha hai bahut KHud ko kushada kar ke
titliyan uD gain lauTa ke mohabbat meri
main ne bhi chhoD diya rangon ko sada kar ke
tere na hone se kal raat andhera tha bahut
chand bhi nikla tha baadal ko libaada kar ke
us ne paiman-e-wafa jaan liya milne ko
main kab aaya tha idhar koi irada kar ke
ek baDa ma'raka yun sar hua aasani se
shah ko kaT diya main ne piyaada kar ke
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 88)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.