barish-e-sang se gul chaak hua chahte hain
bārish-e-sañg se gul chaak huā chāhte haiñ
sab usī ḳhaak kī poshāk huā chāhte haiñ
yuuñ tire shahr meñ badlī hai havā-e-ḳhush-rañg
jitne ma.asūm haiñ chālāk huā chāhte haiñ
fikr kā āb-e-ravāñ ab nahīñ rukne vaalā
ham usī bahr ke pairāk huā chāhte haiñ
sab ko rahtī hai yahāñ shahr-e-amāñ kī ḳhvāhish
itne hālāt ḳhatarnāk huā chāhte haiñ
raushnī bechne vaale ye ujāloñ ke safīr
bastiyāñ phūñk ke ġhamnāk huā chāhte haiñ
merī sohbat kā natīja hai ki saare mazlūm
ek hī vaqt meñ bebāk huā chāhte haiñ
barish-e-sang se gul chaak hua chahte hain
sab usi KHak ki poshak hua chahte hain
yun tere shahr mein badli hai hawa-e-KHush-rang
jitne masum hain chaalak hua chahte hain
fikr ka aab-e-rawan ab nahin rukne wala
hum usi bahr ke pairak hua chahte hain
sab ko rahti hai yahan shahr-e-aman ki KHwahish
itne haalat KHatarnak hua chahte hain
raushni bechne wale ye ujalon ke safir
bastiyan phunk ke ghamnak hua chahte hain
meri sohbat ka natija hai ki sare mazlum
ek hi waqt mein bebak hua chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.