barish kabhi to hogi mere bhi hisar mein
bārish kabhī to hogī mire bhī hisār meñ
bas dekhtā hī rah gayā maiñ intizār meñ
ab to fazā badalne hī vaalī hai dosto
hai bādaloñ kī guuñj bhī ab is ġhubār meñ
rahtā nahīñ hai vaqt kabhī ek rang kā
jab se vo chal paḌā hai ḳhizāñ hai bahār meñ
aane kā nahīñ lauT ke vāpas kabhī bhī vo
le aao gar asar bhī hamārī pukār meñ
qissa kahāniyoñ meñ sunī jā.egī ye baat
ki dhuup bhī utartī thī ik din dayār meñ
barish kabhi to hogi mere bhi hisar mein
bas dekhta hi rah gaya main intizar mein
ab to faza badalne hi wali hai dosto
hai baadalon ki gunj bhi ab is ghubar mein
rahta nahin hai waqt kabhi ek rang ka
jab se wo chal paDa hai KHizan hai bahaar mein
aane ka nahin lauT ke wapas kabhi bhi wo
le aao gar asar bhi hamari pukar mein
qissa kahaniyon mein suni jaegi ye baat
ki dhup bhi utarti thi ek din dayar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.