barish KHushbu rang hawa hain main aur tu
bārish ḳhushbū rañg havā haiñ maiñ aur tū
ḳhvāboñ kā be-nām sirā haiñ maiñ aur tū
apnā ghar hai saat suroñ ke āñgan meñ
gītoñ kī āzād fazā haiñ maiñ aur tū
mannat kī ik Dorī haiñ pīpal se bañdhī
jal meñ bahtā ek diyā haiñ maiñ aur tū
jis ne janm diyā hai har afsāne ko
bhūlī-bisrī koī kathā haiñ maiñ aur tū
ek navelā lafz hazāroñ lafzoñ meñ
rañgoñ meñ ik rañg nayā haiñ maiñ aur tū
barish KHushbu rang hawa hain main aur tu
KHwabon ka be-nam sira hain main aur tu
apna ghar hai sat suron ke aangan mein
giton ki aazad faza hain main aur tu
mannat ki ek Dori hain pipal se bandhi
jal mein bahta ek diya hain main aur tu
jis ne janm diya hai har afsane ko
bhuli-bisri koi katha hain main aur tu
ek nawela lafz hazaron lafzon mein
rangon mein ek rang naya hain main aur tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.