barish nahin lati kabhi aflak se KHushbu
bārish nahīñ laatī kabhī aflāk se ḳhushbū
ḳhud jhuum ke uThtī hai isī ḳhaak se ḳhushbū
is bāġh-e-tilismāt ke phūloñ kā to kyā zikr
aatī hai vahāñ ke ḳhas-o-ḳhāshāk se ḳhushbū
so manzar-e-ḳhūñ-rañg the koñpal se kalī tak
phūTī nahīñ yūñhī gul-e-sad-chāk se ḳhushbū
ehsās ko chhū jaa.e to chhū jaa.e vagarna
rahtī hai gurezāñ had-e-idrāk se ḳhushbū
mahsūs to hotī hai agar koī kare to
ajdād kī ajdād kī imlāk se ḳhushbū
barish nahin lati kabhi aflak se KHushbu
KHud jhum ke uThti hai isi KHak se KHushbu
is bagh-e-tilismat ke phulon ka to kya zikr
aati hai wahan ke KHas-o-KHashak se KHushbu
so manzar-e-KHun-rang the konpal se kali tak
phuTi nahin yunhi gul-e-sad-chaak se KHushbu
ehsas ko chhu jae to chhu jae wagarna
rahti hai gurezan had-e-idrak se KHushbu
mahsus to hoti hai agar koi kare to
ajdad ki ajdad ki imlak se KHushbu
- Book : Pakistani Adab (Pg. 491)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.