barishon mein aag jalti rah gai
bārishoñ meñ aag jaltī rah ga.ī
zindagī bas aañkh maltī rah ga.ī
hijr ne be-jān kar ke rakh diyā
aah phir bhī saañs chaltī rah ga.ī
ḳhuub kī ḳhāna-ḳharābī ishq ne
har nafas ummīd paltī rah ga.ī
ḳhushnumā pīpal ugā dīvār meñ
aur phir dīvār galtī rah ga.ī
Dhalte Dhalte Dhal ga.ī umr-e-ravāñ
aur duniyā yuuñ hī chaltī rah ga.ī
aa.ī thī 'rāmiz' javānī bhī magar
din Dhalā phir shaam Dhaltī rah ga.ī
barishon mein aag jalti rah gai
zindagi bas aankh malti rah gai
hijr ne be-jaan kar ke rakh diya
aah phir bhi sans chalti rah gai
KHub ki KHana-KHarabi ishq ne
har nafas ummid palti rah gai
KHushnuma pipal uga diwar mein
aur phir diwar galti rah gai
Dhalte Dhalte Dhal gai umr-e-rawan
aur duniya yun hi chalti rah gai
aai thi 'ramiz' jawani bhi magar
din Dhala phir sham Dhalti rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.