barishon mein bhigne ki ab mujhe fursat nahin
bārishoñ meñ bhīgne kī ab mujhe fursat nahīñ
mausamoñ ke rañg meñ pahlī sī vo hiddat nahīñ
talḳhiyāñ masrūfiyat ne kuchh baḌhā diiñ is qadar
sach kahūñ shīrīñ-dahan se mujh ko to nafrat nahīñ
husn kī taqsīm meñ hī rah ga.ī koī kamī
DhūñDhtā hai dil jise vo shahr meñ sūrat nahīñ
chāhtā hai jī ki ye bhī saath ho aur vo bhī ho
kyā kareñ par jeb meñ is aish kī qīmat nahīñ
roknā thā daur-e-avval hī ke na.aroñ ko vahāñ
ab junūn-e-shahr par pāoge tum qudrat nahīñ
dil to dil kājal bhī ab to lab-kushā hone lage
is liye 'sīmā' tire alfāz kī hājat nahīñ
barishon mein bhigne ki ab mujhe fursat nahin
mausamon ke rang mein pahli si wo hiddat nahin
talKHiyan masrufiyat ne kuchh baDha din is qadar
sach kahun shirin-dahan se mujh ko to nafrat nahin
husn ki taqsim mein hi rah gai koi kami
DhunDhta hai dil jise wo shahr mein surat nahin
chahta hai ji ki ye bhi sath ho aur wo bhi ho
kya karen par jeb mein is aish ki qimat nahin
rokna tha daur-e-awwal hi ke naron ko wahan
ab junun-e-shahr par paoge tum qudrat nahin
dil to dil kajal bhi ab to lab-kusha hone lage
is liye 'sima' tere alfaz ki hajat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.