barud ki nalen na jahazon ki sadaen
bārūd kī nāleñ na jahāzoñ kī sadā.eñ
sochoñ kī kamānoñ pe chaḌhe tiir Darā.eñ
phir sāhibo maiñ aur nagar khojne niklā
tab rang uḌāte the zamīñ aur havā.eñ
ab faisla maiñ ne bhī kiyā ḳhud ko luTā duuñ
yāroñ se guzārish hai mirā haath baTā.eñ
maidān kī tahzīb lage ek hayūlā
manzar ke liye aañkh talāshe hai guphā.eñ
hastī kā vo phailāv hadeñ TuuT ga.iiñ sab
kuchh saada tab.a pūchhte phirte haiñ dishā.eñ
barud ki nalen na jahazon ki sadaen
sochon ki kamanon pe chaDhe tir Daraen
phir sahibo main aur nagar khojne nikla
tab rang uDate the zamin aur hawaen
ab faisla main ne bhi kiya KHud ko luTa dun
yaron se guzarish hai mera hath baTaen
maidan ki tahzib lage ek hayula
manzar ke liye aankh talashe hai guphaen
hasti ka wo phailaw haden TuT gain sab
kuchh sada taba puchhte phirte hain dishaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.