baat aage baDha tariqe se
baat aage baḌhā tarīqe se
aañkh ham se milā tarīqe se
aap shā'ir haiñ vo bhī bā-uslūb
baat kiije zarā tarīqe se
apnī tahzīb se hai kyā baḌh kar
baar is kā uThā tarīqe se
Dhang varna thā kab baratne kā
she'r sīdhā huā tarīqe se
'aam alfāz mo'tabar Thahre
ik salīqa milā tarīqe se
mat chaḌhā.eñ pahāḌ par chyūñTī
daad diije zarā tarīqe se
zahr pī kar marā nahīñ suqrāt
qais zinda rahā tarīqe se
mat khurach dekh apne siine ko
daaġh dil ke miTā tarīqe se
ham ko vā'iz tū kyoñ Darātā hai
kar ḳhudā-āshnā tarīqe se
tujh ko 'ārif' gale lagā.egā
tū agar lauT aa tarīqe se
baat aage baDha tariqe se
aankh hum se mila tariqe se
aap sha'ir hain wo bhi ba-uslub
baat kije zara tariqe se
apni tahzib se hai kya baDh kar
bar is ka uTha tariqe se
Dhang warna tha kab baratne ka
she'r sidha hua tariqe se
'am alfaz mo'tabar Thahre
ek saliqa mila tariqe se
mat chaDhaen pahaD par chyunTi
dad dije zara tariqe se
zahr pi kar mara nahin suqraat
qais zinda raha tariqe se
mat khurach dekh apne sine ko
dagh dil ke miTa tariqe se
hum ko wa'iz tu kyon Daraata hai
kar KHuda-ashna tariqe se
tujh ko 'arif' gale lagaega
tu agar lauT aa tariqe se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.