baat ab wo rahi nahin shayad
baat ab vo rahī nahīñ shāyad
ab to ham dost bhī nahīñ shāyad
'ishq ke naam se laraztā huuñ
ab dubāra kabhī nahīñ shāyad
aaj phir dil ko yuuñ tasallī dī
us ko fursat milī nahīñ shāyad
ik vahī baat yaad hai ab tak
vo jo us ne kahī nahīñ shāyad
aaj phir koī haath chhūT gayā
saath qismat meñ hī nahīñ shāyad
ab bhī us kī kamī to hai be-shak
haañ magar bekalī nahīñ shāyad
baat ab wo rahi nahin shayad
ab to hum dost bhi nahin shayad
'ishq ke nam se larazta hun
ab dubara kabhi nahin shayad
aaj phir dil ko yun tasalli di
us ko fursat mili nahin shayad
ek wahi baat yaad hai ab tak
wo jo us ne kahi nahin shayad
aaj phir koi hath chhuT gaya
sath qismat mein hi nahin shayad
ab bhi us ki kami to hai be-shak
han magar bekali nahin shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.