baat achchhi buri lagi usko
baat achchhī burī lagī us ko
koī dikhlā.e raushnī us ko
ek bīmār hai bahut bīmār
kaash aa jaa.e maut hī us ko
ek laḌkī mujhe jo devī hai
kyoñ satātā hai aadmī us ko
apnā ye jism bhī nahīñ apnā
kaun samjhā.e har ghaḌī us ko
is ke hone se chal rahī dhaḌkan
maiñ ne de dī hai zindagī us ko
kaam aatā huuñ yaar ke ab bhī
raas aatī hai shā.erī us ko
baat achchhi buri lagi us ko
koi dikhlae raushni us ko
ek bimar hai bahut bimar
kash aa jae maut hi us ko
ek laDki mujhe jo dewi hai
kyon satata hai aadmi us ko
apna ye jism bhi nahin apna
kaun samjhae har ghaDi us ko
is ke hone se chal rahi dhaDkan
main ne de di hai zindagi us ko
kaam aata hun yar ke ab bhi
ras aati hai shaeri us ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.