baat aisi bhi kya hui mujhse
baat aisī bhī kyā huī mujh se
dil ne jo lī ḳhabar mirī mujh se
ek muddat se baat kar na sakī
vo milā bhī to sarsarī mujh se
har ghaḌī naam us kā letī huuñ
bas ye aadat nahīñ ga.ī mujh se
rāh-e-haq jis ko maiñ ne dikhlā.ī
us kī duniyā sañvar ga.ī mujh se
ye duā hai kabhī ḳhafā na hoñ
merā rab aur mire nabī mujh se
fikr-e-uqbā bhī kījiye 'rāhat'
dil ye kahtā hai har ghaḌī mujh se
baat aisi bhi kya hui mujh se
dil ne jo li KHabar meri mujh se
ek muddat se baat kar na saki
wo mila bhi to sarsari mujh se
har ghaDi nam us ka leti hun
bas ye aadat nahin gai mujh se
rah-e-haq jis ko main ne dikhlai
us ki duniya sanwar gai mujh se
ye dua hai kabhi KHafa na hon
mera rab aur mere nabi mujh se
fikr-e-uqba bhi kijiye 'rahat'
dil ye kahta hai har ghaDi mujh se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.