baat aisi hai nahin wo baat hi karta nahin
baat aisī hai nahīñ vo baat hī kartā nahīñ
jab hameñ hotī zarūrat bas tabhī kartā nahīñ
baap bachchoñ ke liye jādūgarī kartā nahīñ
bas musalsal kaam karne meñ kamī kartā nahīñ
kis qadar us ko satāyā hai ḳhudā ne ishq meñ
jo nahīñ kāfir hai phir bhī bandagī kartā nahīñ
dushmanoñ se bhī bahut bad-tar hai merā dost vo
ġhalatiyoñ par jo merī mujh ko sahī kartā nahīñ
sochtā huuñ hijr kaise kāTtā hogā 'tanoj'
sher jo kahtā nahīñ aur mai-kashī kartā nahīñ
baat aisi hai nahin wo baat hi karta nahin
jab hamein hoti zarurat bas tabhi karta nahin
bap bachchon ke liye jadugari karta nahin
bas musalsal kaam karne mein kami karta nahin
kis qadar us ko sataya hai KHuda ne ishq mein
jo nahin kafir hai phir bhi bandagi karta nahin
dushmanon se bhi bahut bad-tar hai mera dost wo
ghalatiyon par jo meri mujh ko sahi karta nahin
sochta hun hijr kaise kaTta hoga 'tanoj'
sher jo kahta nahin aur mai-kashi karta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.