baat aisi suna gaya koi
baat aisī sunā gayā koī
hañste hañste rulā gayā koī
jaise duniyā hī luT ga.ī apnī
dil ke maskan se kyā gayā koī
āñkhoñ āñkhoñ meñ kuchh ḳhamoshī meñ
haal dil kā sunā gayā koī
kyā hī sastā khilaunā thā ye dil
khelā toḌā chalā gayā koī
saare nazzāre ho ga.e ojhal
yuuñ nazar meñ samā gayā koī
mere sheroñ kī tarjumānī sī
ik hikāyat sunā gayā koī
sab yahāñ se ga.e magar 'tanvīr'
haiñ kahāñ ye batā gayā koī
baat aisi suna gaya koi
hanste hanste rula gaya koi
jaise duniya hi luT gai apni
dil ke maskan se kya gaya koi
aankhon aankhon mein kuchh KHamoshi mein
haal dil ka suna gaya koi
kya hi sasta khilauna tha ye dil
khela toDa chala gaya koi
sare nazzare ho gae ojhal
yun nazar mein sama gaya koi
mere sheron ki tarjumani si
ek hikayat suna gaya koi
sab yahan se gae magar 'tanwir'
hain kahan ye bata gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.